Wednesday, December 29, 2010

Andaaz aaj shayarana hai

December ki is sardi mein, 
jab thandi thandi hawa chali.
Hawa chali to ek kitab khuli.

Yaadon ki kitab, khwabon ki kitab,
thodi anban, thode jhagde,thode pyar ki kitab.
Kitab ke panno mein chhupakar, 
rakha tha ek gulab.

Gulab ki pankhudiyon ke niche tera naam nikla.
Tere naam ko dekha, 
to aankhon ke samne se,
apne ek ek pal ka karwaan nikla.

In palo ki kadiyo se, 
ulajhti sulajhti chali gai do kahaniyan.
Hawa ki sihran ne bataya,
kaise in kahinyo se apni kahani bani .

December ki is sardi mein, 
jab thandi thandi hawa chali.